Type Here to Get Search Results !

Online Shopping in Hindi - Saman Ko Image Se Search Karke Kharide

Online Shopping in Hindi Language : Aaj ka humara topic hai online shopping kya hai. E-Commerce sector me product ko image se search karke shopping kaise kare.

Technology badal rahi hai. Kuch samaya pahle tak aapko Flipkart, Snapdeal, Amazon, eBay etc. E-commerce websites par koi saman search karne ke liye typing karni padti thi. Ab aap image ki madad se us jaisa hi product search karke kharid sakte hai. 

To chaliye jante hai shopping se related kuch tips.


E-Commerce Sector Me Shopping Ke Liye Product Ko Image Se Search Kare: Jaane Kaise.

Online Shopping in Hindi - Saman Ko Image Se Search Karke Kharide

Kaise Hota Hai : 

Technice ki duniya me teji se badlab hote hai. E-Commerce sector me bhi ab badlab najar aane laga hai. Ab text search karne ke bajaye image search par focus kiya ja raha hai. 

Aap kisi news paper ya hording me najar aane bali dress ko E-Commerce website par bhi khojakar kharid sakte hai. Iske liye apko apne smartphone ke camera se photo ko click karna hoga or apka E-Commerce app photo se milte-julte product screen par dikha dega.

* Strong Password Online Safe Kaise Rakhe.

Flipkart, Craftsvilla or Wonic jaisi famous E-Commerce company image search option offer kar chuki hai. Ab aap company ka pura catelog text ke bajaye image ki madad se search kar sakte hai.

Craftsvilla ke CEO or Co-founder manoj gupta kahte hai ki image search option ki khasiyat hai ki agar kisi grahk ko koi khas colour ya pattern pasand aata hai to use usi tarah ka product offer kiya jayega.

Yese me grahk yese product se bach sakega, jo use pasand nahi hai. Flipkart ko image search option ka kafi achha responce mil raha hai. Fassion retailer Yepme bhi issi tarah ka feature offer  kar chuki hai.

Ye Kaam Kaise Karta Hai :- 

Image ko samajhne ke liye E-Commerce companya computer vision ki madad leti hai. Computing power se computers ko image samajhne ke yogya banaya ja sakta hai. 

Abhi tak shopping companiya search reasult dikhne ke liye image se jude text tag ko istemal kiya karti thi. Desh ke E-Commerce sector ke liye computer vision technice ka istemal naya ho sakta hai, par yah samaya ki jarurat hai.
Isse grahko ko apni baat samajhane ki jarurat nahi padti.

Sab kuch image se apne aap clear ho jata hai. Wonic ke CEO or Co-founder S.Ali kahte hai ki image search option se companya grahko ko aasani se samajh sakti hai.Wonic tak har mahine 20 lakh unik visiters aate hai.

Wonic or Craftsvilla image pahchanne bali technology ke liye made street den ki madad leti hai.Yah company colour, pattern or barikio ke aadhar par image ko chunti hai or user ki ruchi ke anusar product pesh karti hai.

To ye thi Online Shopping in Hindi - Saman Ko Image Se Search Karke Kharide se judi kuch jaankari. Ye jankari apko kaisi lagi bataye or ho sake to share bhi kare.

Aur bhi jankari ke liye hamse jude rahe or social media par bhi follow kar sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

google ad

Below Post Ad

Footer Copyright