Type Here to Get Search Results !

Gmail Account के किसी भी Mail को Unsubscribe करे - Best Methode.

Gmail Par Kisi Bhi Mail Ko Unsubscribe Aur Block Kaise Kare Puri Jankari: Hum baat karenge apne gmail account me aane baale kisi bhi spam (faltu) mail ko delete, unsubscribe ya block kaise kare.

Aap sab google ko to jante hi honge kyoki yah duniya ka sabse bada search engine hai. Jab bhi hame kisi chija ke bare me jankari chahiye hoti hai us samay ham sabse pahle google ko hi yaad karte hai us chija ke bare me janne ke liye.

Google kai service deta hai lekin ham yaha kebal Gmail service ke bare me baat karenge.Aaj ke samay me har kisi ke pass Email ID hoti hai.kyoki yah National or International level par logo se judne ka ek bahut hi achha jariya hai.

Read : Best Business ideas Se Paise Kaise Kamaye.

Google yah service pure world me chalata hai,jisse ham world me kisi se bhi jud sakte hai. To chaliye jante hai Gmail Par Kisi Bhi Mail Ko Unsubscribe Aur Block Kaise Kare Puri Jankari
Gmail Par Kisi Bhi Mail Ko Unsubscribe Aur Block Kaise Kare Puri Jankari.

Kya aapko kabhi yesi jarurat mahsus hui hai ki aap Gmail par kisi vishesh pate se aane bali mail ko block kar de yani kisi vishesh pate se aane bali email aapko mile hi nahi ya kisi mailing list se aane bali bulk mail se aap ek click par hi unsubscribe ho jaye.

Gmail yani google mail ne aapki isi jarurat ko samajhte huye haal hi ek nai suvidha jodi hai,Jisse aap anchahe emails se pareshan nahi ho.

Isse pahle aapke pass sirf yahi option tha ki aap un mails ko spam mark kar sakte the,lekin ab aap unhe ek click par hi block ya unsubscribe kar sakte hai.
To fir chaliye ham sahi mudade par aate hai or jante hai ki kaise Gmail par kisi bhi mail ko unsubscribe kare.

Is jankari ko janne ke liye me manta hu ki apke pass pahle se hi Gmail par account bna hua hai. Yadi aapke pass Gmail par account nahi hai to pahle aap Gmail.com par jaye or Sign up karke apna account banaye.

Yadi apke pass pahle se account hai to chaliye ye sab kaise karte hai jane.

Gmail Par Kisi Bhi Mail Ko Unsubscribe Or Block Kaise Kare - 

#. Kisi Bhi Mail Ko Block Ya Unsubscribe Kare :-

Sabse pahle aap www.gmail.com par jaye or yaha login kare.Ab apko jis bhi mail ko block ya unsubscribe karna hai usse click karke open kare. Niche image me demo dekhe.

Gmail par kisi bhi mail ko unsbscribe or block kaise kare puri jankari Hindi me
 Ab upar image me dahini taraf Red colour Aro ke pass,jaha ek Down Aro mark najar aayega is par click kare ,kuch naye option aayege. niche image dekhe.

Gmail par kisi bhi mail ko unsbscribe or block kaise kare puri jankari Hindi me

Yaha aapko kuch option dikhai de rahe honge,Isme Red colour Aro ke samne Block likha hoga us par click kare.Ab ek naya popup window khulega kuch iss tarah niche image dekhe.

Gmail par kisi bhi mail ko unsbscribe or block kaise kare puri jankari Hindi me

Isme Red Aro ke samne Block  likha hai iss par click kare.Ab apka bah mail unsubscribe ho chuka hai, isse apko email nahi aayege.

Is tarah se aap Laptop,PC,Desktop, or jisme bhi Gmail ka Web version (desktop version) open kar sakte ho usme iss tarah se mail ko block kar sakte hai.

* Online Internet Se Paisa Kamane Ki 6 Best Websites

#. Mobile Ke Liye :- 

Mobile me aap 2 tariko ka use kar sakte hai -

#1. Aapke pass Android ya fir yesa handset ho jisme aap Gmail ka Desktop Version kar sakte ho to issme aapko upar di gai chije follow karna padega mail ko unsbscribe karne ke liye.

#2. Aapke pass yesa handset ho jisme "Gmail Account" ke liye Application ka use kar rahe ho to, mail ko unsbscribe karne ke liye pahle apps me jakar mail ko open kare. 

Iske baad mail ko upar scroll kare or mail ke niche last me dekhe Unsbscribe likha hoga usse click kare.

* 7 Easy Ways Laptop ko Safe Kaise Rakhe.

Ek nai popup window khulegi jisme aapse mail ko unsbscribe karne ka karan pucha jayega,Aap yaha karan bhare or unsbscribe kare.

Yadi aapko yah Gmail Par Kisi Bhi Mail Ko Unsubscribe Aur Block Kaise Kare Puri Jankari internet se judi jankari achhi lagi to comment kare or share bhi kar sakte hai.Yesi hi or bhi jankari ke liye hamse social media se bhi jud sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

google ad

Below Post Ad

Footer Copyright