Type Here to Get Search Results !

Life में Success होने का मंत्र - Motivational Story शानदार सफलता

Life ko Successful Kaise Banaye in Hindi : Jis tarah hum roj bahut se logo se milte, dekhate hai or kai baato ko analysis bhi karte hai. 

Hume success ke liye kitna janna chahiye aur kitna nahi. Aaj hum inhi kuch baato ko janege. Isliye post ko pura padhe.

Me aapse inhi baato me se ek baat ye share karna chahta hu ki kya hame jyada pata hona hi jyada 
success karta hai ya nahi. To chaliye Hindi me jante hai success kaise paye.


Kya Hume Success Ke Liye Sab Kuch Janna Jaruri Hai


Kisi Ne Thik Hi Kaha :- 
Jyada  jankari  pta  naa  hona  koi  buri  baat  nahi  hai , Balki  janne  ki  ikcha  na  hona  ye  buri  baat  hai.

Life ko Successful Kaise Banaye - एक शानदार Story के जरिये Hindi में जाने :

Maine or aapne bhi apni life me bahut se logo ko dekha hoga ki jinhe jankari to bahut hoti hai lekin ve apni life ko normal tarike se jeete hai.

Mtlab jyada success nahi ho paate jabki iska ulta bahut se log kam janne ke baad bhi life me kafi success hai or ek ache level par rahte huye bahut paise bhi kma rahe hai.

Kyoki success ka relation jankari (knowledge) se utna nahi hai jitna ki Saamarthya (Courage), Dhairya (Patience) se hota hai.

Top 5 Best Online Small Business Ideas to Earn Money in india

Main yah nahi kah raha ki aapko knowledge badana nahi chahiye balki aap ise bhi jitna ho sake jarur badaye aap jis bhi field me success hona chahte hai.

Kyoki bahut si baar kam knowledge ki bajah se log jaldi htaash hote dekhe hai isse unka aatmviswash (Confidence) kam ho jata hai or aap jante hi hai ki success ya kisi bhi kaam ko karne ke liye confidence hona kitna jaruri hai.

Kam jankari ki bajah se htaash na hoye kyoki hum sabhi me alag-alag strength or weaknesses hoti hai. Jankari (knowledge) ko hum kam ya jyada nahi measure kar sakte hai kyoki yah hamare aas-pass ki chijo se create hota hai.

Jaise ki hum jin chijo se daily contact me aate hai hame un chijo ka dhire-dhire 'knowledge' badane lagta hai.

Ab aap samjh hi gye hoge ki aapko kya karna.Aapko jis field se related jankari badana hai un sari chijo se daily judna start kare, fir dekhe kuch hi dino ke baad aap un chijo ke bare me kitna jaan jate ho. 

Jaise ki books,newspaper, apke aas-pass ke logo se bhi judkar etc.

Yaha main ek story ke jariye iss baat ko samjhane ki koshish karta hu ,jisse ye aapko or bhi jyada achhe se smajh aayegi.

Secret of Success in Hindi - अपने कामो को प्राथमिकता कैसे दे.


Life Me Success Kaise Paye - Motivational Story शानदार सफलता :

Ek aadmi sadak ke kinare samose becha karta tha. Anpad hone ki bajah se bah akhabar nahi padta tha. Uncha sunne ki bajah se radio nahi sunta tha aur  aankhe kamjor hone ki bajah se usne kabhi television bhi nahi dekha tha.

Iske bavjud bah kafi samose bech leta tha.Uski bikri or kamai lagatar badti gai. Usne or jyada aalu kharidna start kiya sath hi pahle bale chulhe se bada or badiya chulha kharid kar le aaya.

Uska vyapar lagatar bad raha tha.

Tabhi hal hi me college se B.A. ki degree hasil kar chuka uska beta pita ka haath batane ke liye chala aaya.

Uske baad ek ajeebo-garib ghatna ghati.

Bete ne us aadmi se pucha - 'pitaji kya aapko malum hai ki hum log ek badi mandi ka shikar banne bale hai' ?

Pita ne jabab diya - 'nahi lekin mujhe uske bare me batao'.

Bete ne kaha - 'antrashtriya pari-isthitiya badi gambhir hai gharelu halat to or bhi bure hai.

hame aane bale bure halat ka samna karne ke liye taiyar ho jaana chahiye.

Us aadmi ne socha ki uska beta college jaa chuka hai, akhbar padta hai, or radio sunta hai isliye uski ray ko halke me nahi lena chahiye.

Dusre din se usne aalu ki kharidi kam kar di or apna signboard niche utar diya. Uska josh khatam ho chuka tha. 

Jaldi hi ussi dukan par aane balo ki tadad ghatne lagi or uski bikri teji se girne lagi.

Pita ne apne bete se kaha - 'tum sahi kah rahe the.hum log mandi ke dour se gujar rahe hai,mujhe khushi hai ki tumne samay se pahle hi mujhe iss bare me bata diya.'

Seekha :- 

Isse hame yah seekha miltti hai ki..

Jab bah aadmi mandi ki jankari se anjan tha tab uska business badiya chal raha tha or jaise hi uske bete ne mandi ke bare me bataya to usne uski baat ka bharosa kar apne business ko pura hi khatm kar liya.

Yaha do chije nikal kar aati hai...

1. Kai baar hum khud hi kuch jankariyo ko lekar khud ko satisfy karne bali galat story bna lete hai jo baad me hamare liye sahi nahi hoti hai.

2. Ye hamesha jaruri nahi hota hai ki jo jyada jankari rakhta hai bah sahi dicision le.

Bitcoin aur CryptoCurrency ke bare me puri jankari.

Iss post ko isliye likha gaya hai ki kabhi bhi kam jankari ki bajah se hatash na hoye or ise jitna bhi bada sake hamesha badane ki koshis kare, kyoki ye jaruri hai.

Kyoki jankari hame kai problems se bahar nikalne me bhi madad karti hai.

Yah post Life ko Successful Kaise Banaye aapko kaisi lagi. jarur bataye or aage bhi hamse jude rahe.

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

google ad

Below Post Ad

Footer Copyright