Internet Par Personal Information Safe Kaise Rakhe – 6 Tips in Hindi.

Internet Par Personal Information Safe Kaise Rakhe in Hindi : Aaj hum janege online internet ka use krte time apni neeji (personal) jankari safe kaise rakhe. Hum kuch yesi tips share karenge jisse aap inn baato ko follow karke apne personal details ya document ko bacha sakte hai.

Online internet technic ke badne se hume kafi fayde hone ke sath-sath kuch nuksaan bhi huye hai. 

Yadi aap online internet ka use karte hai to aapko Internet Par Personal Information Safe rakhne ke liye niche batayi gayi baato ko ek baar jarur padhna chahiye. 

Ab internet ke badte use ke karan cyber crime bhi badne laga hai. Yesi hi news aaye dino me sunne ko milne lagi hai.

Online data churana or information me change karna ye sabhi cyber crime ke ander hi aate hai or iss tarah ki chori karne baale ko cyber apraadhi kaha jaata hai.

To chaliye jante hai Online Internet User Personal Information Chori Hone Se Kaise Bachaye



Aap kuch simple chijo ko follow karke apni personal information ko chori hone se bacha sakte hai.

To chaliye jaante hai kuch simple chijo ko.

Internet Par Personal Information Safe Kaise Rakhe – 6 Tips in Hindi :

Message Or E-mail  –

Dosto kai baar aapko msg or mail aate jo bahut hi jyada laalcha baale hote hai ,bahut se log paise ke laalach me aa jaate hai or apni personal jaankari jaise apne khaate ke baare me puri jaankari kisi yese person se share kar lete hai jinhe bo jaante bhi nahi or iss tarah sikhar ho jaate hai or unhe iski bahut badi kimat bhi chukani pad jaati hai.

Apna OTP yaani ONE TIME PASSWORD kabhi kisi se share naa kare.

Isi tarah hume kai baar humare inbox me yese bhi msg ya mail aate hai jinme kisi chij ki link hoti hai ,or jo msg send karne baala iss link ko click karne ke liye kahta hai.

Yadi aap inn unknown link ko click karte hai to aapke system me khud ba khud kuch software download ho jaate hai jo ki virus hote hai ye aapke system ko hack karke bhi saari jaankari le sakte hai.Aapko iss tarah ki unknown link ko click karne se bachna chahiye.

  
Personal Information को  Social Network Sites से दूर रखे  –


Social site`s se aapki photo or sabhi jaankariya aasani se hacker tak pahuch sakti hai or ho sakta hai ki aapka aabhasi friend hi bah hacker ho.


Isse bachne ke liye apne browser ko safe rakhiye, 2 stage verification chalu rakhiye or synchronise tabhi kijiye jab aapko mobile set badalna ho.

Personal Information को  Online Registration पर  Safe रखे  –

Online bahut si website`s hai jo kuch download karane yaa open hone se pahle online registration karbati hai lekin yaha kuch site trusted hone ke sath hi farji bhi hoti hai.

Kuch log trusted site ke jaisi hi farji site bana kar aapse jaankari bharne ko kahati hai.Yesa karne par aapki puri jaankari unke server par pahuch jaati hai.

Iss tarah aapki personal jaankari ka galat tariko me use kiya jaa sakta hai.
Aapko iss tarah ki chijo se bachne ke liye keble verifide websites hi kholna chahiye.

Mobile App –

Aapko kisi bhi mobile app ko download karne ke liye keble verified site ka hi use karna chahiye.

Yaha par bhi ek baat hamesha yaad rakhna hoga ki jab bhi aap apps install kare usse pahle uss app ki term and conditions jarur dhyan se pad le. 

Kyoki kai apps ke term and conditions me aapke mobile ke Contact, Gallery, Message jaise functions ko access karne ki baat kahi jaati hai.

Yadi aap inn baato ko follow nahi karte hai to aapke phone me sendh lag sakti hai ,jisse aapke personal chijo ka galat use kiya jaa sakta hai.


Isse bachne ke liye unknown source se app download karne ke bajaye verified sites se download kar sakte hai. Mobile ka data kaam naa hone par band rakhiye or raat ko sote time data jarur off kijiye.

Google Tez UPI Digital Payment App से पैसे कैसे कमाये Rs. 9000 – Full Review.

Id Card  –

Bahut se log office yaa institute me apne Id card ko pahn kar ghumte hai or sayad yesa karna bhi padta hai.Ye office yaa institute thik hai.

Lekin office yaa institute se bahar nikalne ke baad isse nikal kar rakh lena chahiye kyoki iss card me aapka naam, employe id se lekar address or blood group tak sab likha hota hai.

Yese me koi bhi hacker aapke institute ka database hack karke kisi bhi crime ko anjaam de sakte hai.

Isse bachne ke liye institute se bahar nikalne se pahle ise andar rakh le.

Aeroplain Ke Bording Pass  –

Aksar log bording pass ko yaatra ke baad fenk dete hai,Lekin aapko yah jaankar herani hogi ki iss pass me aapki saari information uss bording pass par bane gupt tarike ( Bar Code yaa QR Code) me increpted tarike se chhipi rahti hai.
Agar yah galat logo ke lag jaayegi to yah aapke liye bahut badi musibat khadi kar sakta hai.

Isliye yese crime se bachne ke liye isse kisi safe place par hi rakhe jah galat logo ke haath naa pahuch sake.


To friends ye thi kuch Internet Par Personal Information Safe Kaise RakheYe jaankari jo aapko jaanna bahut hi jaruri hai yadi aap internet ka jyada use karte ho. Hume jarur bataye ye jaankari kaisi lagi.

yadi aap yesi hi kuch or chijo ko jaante hai to humse share kare.Iss post ko apne dosto ke saath bhi share kare jisse unki help ho sake.Thanks. 

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *