7 Easy Ways Laptop ko Safe Kaise Rakhe 2022

7 Aasan Tips Apne Laptop Ko Safe Rakhane Ke Liye: – Aaj ke samaya me laptop har kisi ke liye upyogi ban gaya hai. Yese me laptop ko safe kaise rakhe se related saval samne aate rahate hai. iske liye kare khas upaye.

Jis tarah isk use bada hai ,Usi tarah isse safe rakhana bhi utna hi jaruri hai.To chaliye jante hai, Aasan Tips Apne Laptop Ko Safe Rakhane Ke Liye.

Laptop Ko Safe Kaise Rakhe – 7 Easy Ways :

#1. Laptop Bag :- 

Aapko achhi quality ka laptop bag kharidna chahiye.Achhe laptop bag me ‘accessories’ rakhane ke liye alag jagah hoti hai.Yah laptop or aapke jaruri samano ko thik se rakhata hai. 

Achhi quality ka laptop bag hone se yah safar ke doran aane bale har tarah ke utar-chadav me safe rahta hai or aapko laptop ki kisi tarah ki tension nahi hoti.
Laptop aapki suvidha ke liye hai. 

Isse aap aasani se kahi bhi apna kaam pura kar sakte hai.Agar aap isse laparvahi se kahi bhi rakh denge to yah kho sakta hai. Safar ke doran laptop bag ko hamesha apne sath rakhe.

#2. Password Kare Istemal :- 

Aapko apne laptop me password ka istemal karna chahiye. Password aasan naa ho.Bina password ke koi bhi aapke data ka galat use kar sakta hai.Isse aapki privecy ko khatara ho sakta hai.

#3. Hard Disk Ki Madad :-

Aap laptop ko har jagah par le jate hai. Yese me laptop kho jaye to important data hamesha ke liye kho sakta hai.Surakcha ki najar se jaruri data ki ek copy External Hard Disk me rakhani chahiye.

Yese me laptop chori hone ya kharab hone ki isthiti me aapko data ke bare me kisi tarah ki tension nahi hogi.

* India Me CryptoCurrency Coin Ethereum Kaise Kharide

#4. Plain Space :- 

Aapko laptop ko upar-niche bali jagah par nahi rakhana chahiye, Plain space par laptop rakhana chahiye. Agar laptop ka daily istemal karte hai to laptop table bhi kharid sakte hai.Iss par aasani se laptop rakh sakte hai.
#5. Safai Ka Rakhe Khayal :- 
    Laptop istemal karte samay iss par khane-pine ka saman nahi felana chahiye.Yaha saman keys ke bich me fasa rah jata hai.Aapko regular coton se laptop ko saaf karna chahiye. Laptop ki ‘screen ko saaf’ karne ke liye baazar me kai tarah ke solution bhi hai.
    #6. Nami Or Garmi :- 
      Laptop ko nami or garmi se nuksan pahuch sakta hai.Jab bhi laptop istemal kare to iss baat ka khayal rakhe ki aap kisi thande isthan par ho.

      Aapko dhul bhare isthano par bhi laptop ka istemal karne se bachana chahiye.Laptop ko kabhi bhi geela na kare,Yah kharab ho sakta hai.
      #7. Public Wi-Fi :- 
        Aapko laptop par public Wi-Fi istemal nahi karna chahiye.Kai baar public space par wi-fi istemal karne se Hacker aapke important data ka galat use kar sakta hai.Kai baar hacker`s aapke laptop me Virus bhi chod sakte hai. Jo aapke laptop ke liye sahi nahi hoga.
        Aapko ye jaankari 7 Easy Ways Laptop ko Safe Kaise Rakhe kaisi lagi comment kare or bhi kare.

        Comments

        No comments yet. Why don’t you start the discussion?

        Leave a Reply

        Your email address will not be published. Required fields are marked *